Thursday, March 28, 2013

POEM- Kaash tum aaj mere saath hoti

Kaash tum aaj mere saath hoti
zindagi mey koyee aur baat hotee

har taraf bahaar hotee
har raat aik sukuun bhari raat hotee

Hazratganj key woh chaurahe hotey
Panchvati key woh bhalley-chat hotey
Kaash tum aaj mere saath hoti

aaj mere holi jayeda rangeen hoti
inn mee tere sare rang hotey

Allah kasam, bhool bhulaya aik taraf hota
gomti ka kinara , aik taraf hota
Tera saath bita woh pal sametey,
Lucknow ki a
aj koyee aur baat hotey
tere bin aaj lucknow aik sunee, sahmey huee shaam thee

Kaash tum aaj mere saath hoti
Khuda Kasam mere zindagi mey koyee aur baat hotee

Aaj agar tuu mere dulhan hotey
Toh tujhe maine saptrangi rango sey rang diya hota
Pura Awadh sahar uska gawah banta

Lucknow key adab mey koyee aur baat hoyee
Kaash tum aaj mere saath hoti
Akhri baar tere ko charbagh chora tha...............................

To be continued....

POEM- Kaash tum aaj mere saath hoti
POET-PARVIN ALLAHABADI & MEHEK SULTANA
(there can be Thousand of Mehek Sultana)

No comments:

Post a Comment