POEM- Kaash tum aaj mere saath hoti
Kaash tum aaj mere saath hoti
zindagi mey koyee aur baat hotee
har taraf bahaar hotee
har raat aik sukuun bhari raat hotee
Hazratganj key woh chaurahe hotey
Panchvati key woh bhalley-chat hotey
Kaash tum aaj mere saath hoti
aaj mere holi jayeda rangeen hoti
inn mee tere sare rang hotey
Allah kasam, bhool bhulaya aik taraf hota
gomti ka kinara , aik taraf hota
Tera saath bita woh pal sametey,
Lucknow ki auJ koyee aur baat hotey
tere bin aaj lucknow aik sunee, sahmey huee shaam thee
Kaash tum aaj mere saath hoti
Khuda Kasam mere zindagi mey koyee aur baat hotee
Kaash Aaj agar aap mere dulhan hotey
Toh maine tujhe saptrangi rango sey rang diya hota
Pura Awadh sahar uska gawah banta
Aaj Lucknow key adab mey koyee aur baat hotee
Kaash tum aaj mere saath hoti
Akhri baar tere ko charbagh chora tha...............................
Sapno mey roj , InsaAllah har Roj aa jati hai tuu
Khab kee baat he choro, jis din khayab mey nahi aati
Kavi Hriday hai dekha
Khab kee baat he choro, jis din khayab mey nahi aati
us din shayad puri raat neend nahi aate hai
Kya batao udhas Dil ki bechanee
Bhootnath key har ghoomtey har khoobsurati mey tujhe he doondha karta huu
phir khayl aata hai
tum woh muraat hoo, Jo mere man mey he hoo
Kaha bhoolbhulaiya ho, yaa gomti ka kinara
Hajaratganj ki chauk, yaa Amanibaad ki purani imeeratey
Aap waha hoo, Jaha hoo, Kaha hoo
Aap koyee Murat nahi hoo, naa he pathar hoo
Jisse mai dudhee,
Allah kasam Lucknow ki Khoobsurati toh Salo pehle Bhopal chale gaye thi
pata chala aapna aik aur saher basaya hai
Lucknow toh ussi din kangaal ho gaya tha...
Kaash aap aaj mere saath hoti
Toh Lucknow ki Khoobsurati ki koyee aur baat hoti
Puri kaum ko aaj mujh pe naaz hota
log tere samney sajdey kartey
Kaash aaj tuu mere paas hotee
zindagi mey koyee aur baat hotee
Hazaro khoobsurati dekhe maine,
tere burkey mein jhakti zindagi ki koyee aur baat thi,
yeh lucknow ki nazakat ka asar hai yaa tera pagalpan,
tune aik sahar basaya, ghar basaya, per Lucknow kangaal ho gaya,
Allah kasam Zindagi mey koyee aur baat hotey
Kash aaj aap mere saath hoti
Zindagi mey koyee aur baat hoti
Lucknow mey bhi Barsaat hoti
Lucknow ki khoobsoorti ki koyee aur baat hotee...
kaash tum aaj mere saath hoti, lucknow aur bangalore mey bhi bahaar Hotee..
Kash aaj aap mere saath hotey,
iss Nawab ki koyee aur baat hotey,
Lucknow ki adab mey koyee aur baat hotey
Kash aaj aap mere saath hoti
Zindagi mey koyee aur baat hoti
Lucknow mey bhi Barsaat hoti
Lucknow ki khoobsoorti ki koyee aur baat hotee...
kaash Aap aaj mere saath hoti, mere lekhe kavitha benaam na hoti
Inmey khusboo hoti, mehek hote
karuna aur hriday hota
Kaash aaj tuu mere paas hotee
zindagi mey koyee aur baat hotee........
To be continued....
FROM POEM- Kaash tum aaj mere saath hoti
POET-PARVIN ALLAHABADI